Wednesday, December 18, 2013

Meri Aarzu Muhammad, Meri Justuju Madinah.

Na kaleem ka tasawwur, Na khayaal-e-tur-e-sinaa.
Meri aarzu Muhammad, Meri justuju Madinah.
Main gadaae Mustafa hun, Meri azmatein nah poocho.
Mujhe dekh kar jahannam, Ko bhi aa geya paseenah.
Meri aarzu Muhammad, Meri justuju Madinah.
Mujhe dushmano nah chedo, Mera hai koi jahaan main.
Main abhi pukaar lunga, Nahi dur hai Madinah.
Meri aarzu Muhammad, Meri justuju Madinah.
Na kaleem ka tasawwur, Na khayaal-e-tur-e-sinaa.
Main mareez-e-Mustafa hun, Mujhe chedo na tabibo.
Meri zindagi jo chaaho, Mujhe le chalo Madinah.
Meri aarzu Muhammad, Meri justuju Madinah.
Na kaleem ka tasawwur, Na khayaal-e-tur-e-sinaa.
Meray dubne main baqi, Na koi kasar rahi thi.
Kahaa “almadad Muhammad”, toh ubhar gayaa safinah.
Meri aarzu Muhammad, meri justuju Madinah.
Na kaleem ka tasawwur, na khayaal-e-tur-e-sinaa.
Siva iske mere dil mein, koi aarzu nahin hai.
Mujhe maut bhi jo aaye, tho ho saamne Madinah.
Meri aarzu Muhammad, meri justuju Madinah.
Na kaleem ka tasawwur, na khayaal-e-tur-e-sinaa.
Kabhi aye Shakeel dil se, na mite khayaal-e-Ahmad.
Isi aarazu mein marna, isi aarazu mein jeena.