Wednesday, May 30, 2012

mere huzoor sa sahib e jamaal koi nahi



mere huzoor sa sahib e jamaal koi nahi..
wo be-misaal hain.. unki misaal koi nahi..


mere huzoor sa sahib e jamaal koi nahi..(twice)
wo be-misaal hain.. unki misaal koi nahi..(twice)


mere huzoor meri haajatein samajhte hain..(twice)
isi liye mere.. lab par sawaal koi nahin..(twice)


wo be-misaal hain.. unki misaal koi nahi..


jahaan me yun toh karodo hai aashiqaane rasool.(twice)
magar ye sach hai ke innme bilal koi nahi..


wo be-misaal hain.. unki misaal koi nahi..


ye unpe hai jisko nawaazna chaahe..(twice)
muneer isme toh apna kamaal koi nahi..(twice)


mere huzoor sa sahib e jamaal koi nahi..

Monday, May 28, 2012

mere dil me hai yaad-e-MUHAMMED





mere dil me hai yaad e mohammed...(repeat)
mere hoton pe zikr e madeena...
mere dil me hai yaad e mohammed...
mere hoton pe zikr e madina...

tajdare haram ke karam se, (repeat)
aagaya zindagi ka kareena.
mere dil me hai yaad e mohammed.'

mai ghulam e ghulaman e ahmed,
mai sage aastan e mohammed.
khabil e faqr hai maut meri... 
qabil e rashq mera jeena...

mere dil me hai yaad e mohammed... 

dil shakeesta hai mera to kya gham...(repeat)
isme rehte hai shah e do aalam...(repeat)
jab se mehmaan hue hai wo dil me...
dil mera ban gaya hai madina,...

mere dil me hai yaad e mohammed.

har khata par meri chashm e poshi.
har talab par ataaon ki barish...(repeat)
mujh gunaah gar par kiss qadar hai...
mujh khatakaar par kis qadar hai...
meherbaan tajdar e madina..

mere dil me hai yaad e mohammed...

mujh ko toofan ki maujon ka kya darr..
wo guzar jaaega rukh badalkar...(repeat)
na khuda hai mere jab mohammed...(repeat)
kaise doobega mera safeena....

mere dil me hai yaad e mohammed...

daulat e ishq se dil ghani hai...
meri kismat hai rashq e sikander.(repeat)
midhat e mustafa ki badaulat...
mil gaya hai mujhe ye khazeena...

mere dil me hai yaad e mohammed...
mere hoton pe zikr e madina...

mere dil me hai yaad e mohammed...

mai so jaaun YA MUSTAFA kehte kehte


mai so jaaun ya mustafa kehte kehte.
khule aankh salle ala kehte kehte.(repeat)

guzarte the kante bhare raston se... bhare raston se...
habeeb e khuda, ya khuda kehte kehte... ya khuda kehte kehte...

mai so jaaun ya mustafa kehte kehte.
khule aankh salle ala kehte kehte...

sitam par sitam, seh gaye dushmanon ke..seh gaye dushmanon ke.

habeeb e khuda, ya khuda kehte kehte.... ya ...

mai so jaaun ya mustafa kehte kehte.
khule aankh salle ala kehte kehte.

museebat ke maaron, kathin manzilon se..kathin manzilon se..
guzar jaao ya mustafa kehte kehte... mustafa kehte...

mai so jaaun ya mustafa kehte kehte.
khule aankh salle ala kehte kehte.

kate kaash iqbal, ab ummr sari.. ab ummr sari.
faqat naath e khairulwara kehte kehte... naathe khai...

mai so jaaun ya mustafa kehte kehte.
khule aankh salle ala kehte kehte.

Kab talak muntazir, Hum rahen ya NABI






kab talak muntazir, hum rahen ya nabi
apni jalwa e athar dikha deejiye.(repeat)

hum faqeeron ki ya ahmade mujtaba, 
pyaas qalbo nazar ki bujha deejiye

aap zeenat azal ki hai khairul wara.
aap raunaq abad ki hai salle ala.

aap khairul bashar, wajhe kauno makaan.
paar beda hamaara lagaa deejiye.

arsh waale bhi tere sana'khan hai.
aur malaaik tere dar ke darbaan hai.

tere darbaare aali ki kya shan hai, 
apne qadmon me humko bulaa leejiye.(repeat)

ranj o aalam se kardo humko bari.
khushq hai dil ke kheti, ye kardo hari.
tashnagi, bekali, teeragi ya nabi..
rah guzaaron se dil ki hataa deejiye.(repeat)

be amal hum saraapa gunahgaar hain.
ranjishon, mushkilon me giraftaar hai,
hum karam ke tumhare talabgaar hai, 
aaho giriya se humko jilaa deejiye.(repeat)

sab se ooncha hai rutbon me rutba tera.
choomte hai malaik bhi rauza tera.
chahatein dil me hai, sarme suda tera.
dar pe ishrat to apne bulaa leejiye.(repeat)

karam maangta hun.. ataa maangta hun..






karam mangta hoon, ata maangta hoon,
ilahi mai tujhse duaa maangta hoon.(repeat)

ataa kar, tu shaane kareemi ka sadqa.(repeat)
dilaade ilahi raheemi ka sadqa. (repeat)

na maangunga tujhse, to maangunga kis se.
tera hoon mai tujhse duaa mangta hoon. 

karam mangta hoon, ataa maangta hoon.
ilahi mai tujhse duaa mangta hoon. 

jo muflis hai unko, tu daulat ataa kar.
jo beemar hai unko, sehet ataa kar...(repeat)

mareezon ki khatir, shifa mangta hoon. (repeat)
ilahi mai tujhse duaa mangta hoon. 

karam mangta hoon... 

ilahi hamein shaad-o-masroor rakhna,
balaaon se humko sadaa door rakhna...(repeat)

pareshaaniaan hum ko ghere hue hain.
pareshaanion se panah mangta hoon... 

karam mangta hoon

Chalo diyare nabi ki jaanib




Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Bahaaren lootenge humkaram ki, dilon ko daaman bana bana kar…

Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Na un ke jaisa saqi hai koi, (repeat)
Na un ke jaisa ghani hai koi, (repeat)
Wo benawaao ko har jagah se, (repeat)
Nawaazte hai bula bula kar…

Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Hai unn ko ummat se pyaar kitna,
Karam hai, rehmat, shiyaar kitna…
Hamare jurmon ko dho rahe hain, (repeat)
Huzoor aasoon baha baha kar…(repeat)

Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Main wo nikamma hoon, jiski jholi…(repeat)
Main koi husne amal nahi hai… (repeat)
Magar wo ehsaan kar rahe hain…(repeat)
Khataaen meri chupa chupa kar…(repeat)

Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Yehi asaase amal hai meri…(repeat)
Isi se bigdi bani hai meri…(repeat)
Samet’ta hoon karam khuda ka…(repeat)
Nabi ki naatein sunaa sunaa kar…(repeat)

Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Agar muqaddar ne aawari ki…(repeat)
Agar madine gaya mein khaalid…(repeat)
Khadam khadam khaak uss gali ki,
Main choom loonga utha utha kar…(repeat)

Chalo diyare nabi ki jaanib, (repeat)
Durood lab par sajaa sajaa kar…

Dil thikaana mere huzoor ka hai





Dil thikaana mere huzoor ka hai, dil thikaana.
Dil thikaana mere huzoor ka hai, dil thikaana mere huzoor ka hai…
Yeh jalwakhaana mere huzoor ka hai,(repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…

Har zamaane ki aap rehmath hai..
har zamaan.. mere huzoor ka hai..

Nematein sab wahi khilaate hai, (repeat)
Daana daana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…


Aur, nematein sab wahi khilaate hai… daana…

Dil thikaana…Dil thikaana…


Ek pal mein hazaaron aalam mein, (repeat)
Aana jaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…


Aur, mujhsa aasi kahaan, madina kahaan.(repeat)
Ye bulaana mere huzoor ka hai. Same.

Dil thikaana…Dil thikaana…


Roze mehshar jo baqshwaaega. (repeat)
Wo bahaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…


Hashr me unnke saath utthega. (repeat)
Jo diwaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana...Dil thikaana...


Jinpe utri hai aa’ya –e-tatheer. (repeat)
Wo gharaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Ye jalwakhaana mere huzoor ka hai.. (repeat)

Aur, zikr shaamil namaaz me Khalid. (repeat)
Panjagaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Jalwakhaana mere huzoor ka hai.
Dil thikaana mere huzoor ka hai…

Dar e nabi pe pada rahunga..



Dare nabi par.. pada rahunga.. pade hi rehne se kaam hoga..
kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

dare nabi par.. pada rahunga.. pade hi rehne se kaam hoga..
khilaafe maashooq.. kuch hua hai.. na koi aashiq.. se kaam hogaa..twice

khuda bhi hoga.. udhar hi ae dil.. jidhar wo aali maqaam hoga..twice

kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

kiye hi jaauunga.. arz e matlab.. milega jab tak na dil ka matlab..twice
na shame matlab ki subha hogi.. na ye fasaana tamaam hoga..

kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

jo dil se hai maayil e payambar.. ye uski pehchaan hai muqarrar..twice
k har dam us benawa k lab par.. durood hoga salaam hoga..

kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

isi tawaaf kaa pe jiraha hun.. yehi tamanna jilaa rahi hai..twice
nigaahe luttfo karam na hogi.. toh mujhko jeena haraam hoga..twice

dare nabi par.. pada rahunga.. pade hi rehne se kaam hoga..
kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..






Rok Leti Hey Aap Ki Nisbat



Saathiyon aao sab madine chale.. khote sikke jahan pe chalte hain..(twice)
aur ye karam hai huzoor ka warna.. khote sikke kahan pe chalte hain..
ye karam hai huzoor ka warna.. khote sikke kahan pe chalte hain..
rok leti hai aap ki nisbat.. teer jitne bhi humpe chalte hain..

abb humein kya koi giraayega.. khud sahara madad ko aayega..(twice)
humne khud ko giraaliya hai wahan.. girne waale jahan sambhalte hain..
saathiyon aao sab madine chale.. khote sikke jahan pe chalte hain..

saazishon me bhala hum aaye kyun.. apna ghar iss tarah jalaayen kyun..(twice)
aap sa qaayga na aaya hai..ye mukhaalif tabhi toh jalte hain..
aap pyaare hain saari ummat ki.. ye mukhaalif tabhi toh jalte hain..

aao baazzre mustafa ko chalen..  khote sikke jahan pe chalte hain..
apni aukhaat sirf itni hai.. kuch nahi baat sirf itni hai..(twice)
kal bhi tukdo pe unke palte thay.. abb bhi tokdon pe unke palte hain..(twice)



kal bhi tha aur aaj bhi hai


lab par naat e paak ka nagma. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(thrice)

mere nabi se mera rishta.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

aur kisi jaanib kyun jaayen? aur kisi ko kyun dekhen?
aur kisi jaanib kyun jaayen? aur kisi ko kyun dekhen?
apna sab kuch gumbad e qazra.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

past wo kaise ho sakta hai.. jisko haq ne buland kiyaa..(twice)
dono jahan me unka charcha.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

fikr nahi hai humko kuch bhi.. dukh ki dhoop kadi toh kya?(twice)
hum par unke fazl ka saaya.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

batlaado gustaaqe nabi ko.. ghairat e muslim zinda hai..(twice)
unpar mar mitne ka jazba.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

mere nabi se mera rishta.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)