Sunday, January 20, 2013

Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya

Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun ker woh mujhe pas bulaein to ajab kya.


Deedar ke qabil to kahan meri nazar hai
Lakin woh kabhi khawab mein aayein to ajab kya.


Muhn dhanp kay rakna ke ghunahagaar bohot hoon
Mayat ko meri dekhnay ayein to ajab kya.


Un per to ghunahagar ka sab hal khula hai
Iss par bhi who daman mein chupaein to ajab kya.


Woh husn e do aalam hain adeeb unkay kadam say
Sehra main agar phool khilayein to ajab kiya.

Khula Hai Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat


Khula Hai Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat,
Wahan Koi Rutbe Main Adna Naa Aali,


Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali,
Qatare Lagaye Khade Hain Sawali,

Mein Pehle Pehle Jab MADINE Gaya Tha,
To Thi Dill Ki Haalat Tadap Jane Wali,

Wo Darbaar Sach Much Mere Samne Tha,
Abhi Tak Tasawwur Tha Jiss Ka Khayaali,

Main Ek Haath Se Dil Sambhale Huve Tha,
To Thi Dusre Haath me unki Jaali,
Dua Ke Liye Hath Uthte To Kaise!!!
Na Yeh Hath Khaali , Naa Woh Haath Khaali,

Jo Poocha Hai Tum Ne, Kay Main Nazar Karne

Wo Kya Le Gaya Tha,Tou Tafseel Sun Lo, 

Tha Naaton Ka Ik Haar ,Ashkon Ke Moti,
Daroodon Ka Gajra, Salamon Ki Daali,

Dhani Apni Qismat Ka Hai To Wohi Hai, 

Deyar E Nabi (S.A.W.W) Jiss Ne Aankhon Se Dekha,
Muqaddar Hai Sacha Muqaddar Ussi Ka,
Nigaah E Karam Jiss Pe Aaqa(S.Aw.W) Ne Daali,

Main Uss Aastaan E Haram Ka Gada Hoon,

Jahan Sir Jhukatay Hain Shaahaan E Aalam,
Mujhe Taajdaaron Se Kamm Mat Samajhna,
Mera Sir Hai Shayaan E Taaj E Bilaali, 

Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat,

Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali 

MuraadonSe Daamann Nahee Koi Khaali, 
Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali..

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab-E-Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai

Kal Pul Se Hame Jisne Khud Par Lagana Hai
Zahra Ka Wo Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai

Aao Dar-E-Zahra Par Pehlaye Huwe Daman
Ye Nasle Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai

Purnoor Si Rahein Hain Ghumbad Pe Nighein Hain
Jalwe Bhi Anokhein Hain Manzar Bhi Suhana Hai

Izzat Se Na Marjaye Kyun Naam-E-Mohammad Par
Yunhi To Kanbhi Hamne Din Duniya Se To Jana Hai

Ye Keh Ke Dar-E-Haq Se Li Maut Main Kuch Mauhlath
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai

Mehroom-E-Karam Isko Rakhiye Na Saare Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aaqir Saael To Purana Hai

Wednesday, January 16, 2013

Main Behek Sakoon Ye Majaal Kya



Main Behek Sakoon Ye Majaal Kya, Mera Rahnuma Koi Aur Hai.
Mujhe Khoob Jaan Lein Manzilein, Ye Shikasta Pa Koi Aur Hai.




Jo Tumhari Jaali Se Muttasil, Hai Sutu Ke Picche Khajil Khajil.

Nahi Main Nahin Wo Mareeze Dil, Na Meray Siwa Koi Aur Hai.




Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soo-e-Haram Chalo.

To Bana ke Sar ko Qadam Chalo, Ke Yeh Raasta Koi Aur Hai.




Hai Tujhe Khabar Shah-e-Eeno'aan, Meri Wajhe Raahate Qalbo Jaan.

Na Tere Siwa Koi Aur Tha, Na Tere Siwa Koi Aur Hai.




Ye Guman Tha Kaee Saal Say, Ye Yaqeen Hai Kahin Roz Se.

Mere Dil Se Ghumbad e Sabz Ka, Ye Muamla Koi Aur Hai.




Main Jo Door Arze Haram Se Tha, Hui Khulde Gosh Haseen Sada.

Hai Isi Mein Maajid e BeNawa, Ke Yeh Kaafila Koi Aur Hai.

Tuesday, January 15, 2013

Rehmat baras rahi hai.. Mohammad k sheher mein..



Rehmat baras rahi hai.. mohammad k sheher mein..
Har shay me taazgi hai.. mohammad k sheher mein..

Har ek bharraha hai.. yahan daaman e muraad..
Maqlooq aarahi hai mohammad k sheher mein..

Aur aate hain bakshwaane.. gunaaho ko gunaahgaar..
Kismat badal rahi hai mohammad k sheher mein..

Aisa laga k saamne.. khud aagaye huzoor..
Ek naat jab padhi hai mohammad k sheher mein..

Daulat sukoon ki har jagah.. hum dhoondte rahe..
Aakhir ye milgayi hai mohammad k sheher mein..

Ruq har bashar hai soooove.. madina kiye hue..
Duniya sama gayi hai mohammad k sheher mein..

Raushan hai jiske noor se.. dono jahan riyaaz..
Aesi samaa jali hai mohammad k sheher mein..

Mai sajda karoon ya.. k dil ko sanbhaloon..






Mai sajda karoon ya.. k dil ko sanbhaloon..
Mohammad ki chaukhat nazar aarahi hai..

isi bekhudi me.. kahin kho na jaaun.. 
tadap kamli waale ki tadpaarahi hai..

do aalam ka daata.. mere saamne hai..
k kaabe ka kaaba.. mere saamne hai..

adaa kyun na farz e.. mohabbat karun mai..
khuda ki khudaai.. jhuki jaa rahi hai..

fakheeri ka mujhme.. nahi hai saleeqa..
na aata hai kuch maangne ka tareeqa..

idhar bhi nigaahe.. karam Kamli waale..
zamaane ki jholi.. bhari jaa rahi hai..

ye farmaaya haq ne.. k pyaare Mohammad..
hamaare ho tum.. hum tumhaare Mohammad..

hamein apne jalwon me ae kamli waale..
tumhaari hi surat.. nazar aarahi hai..

Mai sajda karoon ya.. k dil ko sanbhaloon..
Mohammad ki chaukhat nazar aarahi hai..