Tuesday, November 20, 2018

Aane Waalo Ye Toh Batao Sheher E Madinah Kaisa Hai



Aane waalo ye toh bataao
sheher e madina kaisa hai,
sar unke kadmo me rakh kar
jhuk k jeene kaisa hai?

Gumbad e khizra ke saaye me
baith ke tum toh aaye ho,
uss saaye me rab ke aage
sajda karna kaisa hai?


Dil aankhen aur rooh tumhaari
lagti hain sehlaab mujhe,
dar pe baith ke aage
zamzam peena kaisa hai?


Aane waalo ye toh bataao
shehr e madina kaisa hai;


Deewano aankhon se tumhari
itna poochh to lene do,
waqt e dua roz pe unke
aansoo bahana kaisa hai?


Waqt e rukhsat dil ko apne
chhod wahan tum aaye ho,
ye batlaao ishrat unke
dar se bichadna kaisa hai?

Saturday, December 3, 2016

Allah karam Allah karam



Haazir hain tere darbaar me hum,
Allah karam, Allah karam.
Deti hai sadaa ye chashm e nam,
Allah karam, Allah karam.

Hai patse har ek gardan kham hai,
Har aankh nadaamat se nam hai,
Har chehre pe hai ashqon se ratam,
Allah karam, Allah karam.

Haazir hain tere darbaar me hum,
Allah karam, Allah karam.

Jin logon pe hai in’aam tera,
Un logon me likh de naam mera.
Mehshar me mera rehjaaye bharam,
Allah karam, Allah karam.

Har saal talab karna mujhko,
Har saal ye sheher dikhana mujhko.
Har saal karun mai taufe haram,
Allah karam, Allah karam

Meri aane waali sab naslein,
Tere ghar aaye, tera dar dekhe.
Asbaab ho unko aese baham,
Allah karam, Allah karam.

Iss wird me umr kate saari,
Hothon pe sabeeh rahe jaari.
Allah karam, Allah karam,
Allah karam, Allah karam.

Sallallaaho Alaihe Wassallam



Ahmad e mursal, fakr e do alam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Mazhar e awwal, mursal e khaatam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.

Wehm k har zanjeer ko toda, rishta ek khuda se joda.
Shirk ki mehfil kardi barham, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.

Jitne fazaail jitney mughasil, mumkin me hosakte thay mumkin,
Haq ne kiye sab unme faraaham, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Ahmad e mursal, fakr e do alam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.

Raah me kaante jisne bichaaye, gaali di paththar barsaaye.
Uspar chhidki pyaar ki shabnam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
fakr e do alam, Ahmad e mursal, Sallallaaho Alaihe Wassallam.

Ilm e latooni, shaan e karimi, khulq e khaleeli, nutbe kaleemi.
Zohde maseeha, iffat e mariyam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam

Aap agar maqsood na hote, kauno makaan, maujood na hote.
Aur masjood na hote aadam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.
Sallallaaho Alaihe Wassallam, Sallallaaho Alaihe Wassallam.

Aapki nalain ka...



Arsh ne chooma hai kalma, aapki na-lain ka.
Ya nabi dekha ye rutba, aapki na-lain ka.

Aapke talvo ki narmi, khalb par mehsoos ki.
Mai ne jab bhi naksh dekha, aapki na-lain ka.
Ya nabi dekha ye rutba, aapki na-lain ka.

Aapki khidmat ka mujhko, kaash miljaata sharaf.
Bandh ta aakhon se tasma, aapki na-lain ka.
Ya nabi dekha ye rutba, aapki na-lain ka.

Hashr me jab log choome, aapka dast e karam.
Sabse chhupkar loon mai bosa, aapki na-lain ka.
Ya nabi dekha ye rutba, aapki na-lain ka.

Roz e mehshar, sar pe suraj, jab savaane ze pe ho,
Ek ne ze par ho saaya aapki na-lain ka.
Ya nabi dekha ye rutba, aapki na-lain ka.

Friday, December 2, 2016

Jahan roza e pak e khairul wara hain,



Jahan roza e pak e khairul wara hain,
Wo jannat nahi hai toh, phir aur kya hai.

 Kahan mai kahan ye madine ki galiyaan,
Ye kismet nahi hai toh, phir aur kya hai.

Mohammad ki azmath ko, kya poochhte ho,
Ke wo sahib e khaba qosain thehray.

Bashr ki sar e arsh, mehmaan nawaazi,
Ye azmat nahi hai toh, phir aur kya hai.

Jo aasi ko kamli me, apni chhupaale,
Jo dushman ko bhi zakhm, khaakar dua de.

Ise aur kya naam, dega zamaana,
Ye rehmat nahi hai toh, phir aur kya hai.

Kahan mai kahan ye madine ki galiyaan,
Ye kismet nahi hai toh, phir aur kya hai.

Khusha wo din



Khusha wo din haram e pak ki fazaaon me tha,
Zubaan khamosh thi dil, mai iltejaaon me tha.

Ghilaaf e khaana e Kaaba tha mere haathon me,
Khuda se arz o ghuzaarish, ki intahaon me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Dar e karam pe sadaa deraha tha ashkon se,
Jo multazam pakhade thay, main un gadaaon me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Tawaaf karta tha parvanawaar kaabe ka,
Jahan e arz o sama jaise mere paanv me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Mujhe yakheen hai mai phir bulaaya jaaunga,
Ke ye sawaal bhi shamil meri duwaaon me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Meri zindagi ka tujhse, ye nizam chal raha hai



Meri zindagi ka tujhse, ye nizam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse, ye nizam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.

Teri rehmaton ka dariya, sar e aam chal raha hai,
Mujhe bheek mil rahi hai, mera kaam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse…

Nahi arsho farsh par hi, teri azmato ke charche.
Rahe khaake be-lahad mein, tera naam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse, ye nizam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse…

Tere lutfe khus e ravi par, mera kat raha hai jeevan,
Meri Umr kat rahi hai, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse, ye nizam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse…

Tera ummati bas itni, bhi tameez kaash kar le.
Wo halaal khaa raha hai, ke haram chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse…


Wo tere ataa ke tevar, wo hujoo me gird e kauser.

Kahin shor e mehkashaan hai, kahin jaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse, ye nizam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse…

Mujhe iss khaddar jahaan me, na khabool e aam e milta
Tere naam ke sahaare, mera naam chal raha hai.
Tera aastaan salaamat, mera kaam chal raha hai.
Meri zindagi ka tujhse…