Sunday, January 20, 2013

Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya

Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun ker woh mujhe pas bulaein to ajab kya.


Deedar ke qabil to kahan meri nazar hai
Lakin woh kabhi khawab mein aayein to ajab kya.


Muhn dhanp kay rakna ke ghunahagaar bohot hoon
Mayat ko meri dekhnay ayein to ajab kya.


Un per to ghunahagar ka sab hal khula hai
Iss par bhi who daman mein chupaein to ajab kya.


Woh husn e do aalam hain adeeb unkay kadam say
Sehra main agar phool khilayein to ajab kiya.

No comments:

Post a Comment