Jahan roza e pak e khairul wara hain,
Wo jannat nahi hai toh, phir aur kya hai.
Kahan mai kahan ye
madine ki galiyaan,
Ye kismet nahi hai toh, phir aur kya hai.
Mohammad ki azmath ko, kya poochhte ho,
Ke wo sahib e khaba qosain thehray.
Bashr ki sar e arsh, mehmaan nawaazi,
Ye azmat nahi hai toh, phir aur kya hai.
Jo aasi ko kamli me, apni chhupaale,
Jo dushman ko bhi zakhm, khaakar dua de.
Ise aur kya naam, dega zamaana,
Ye rehmat nahi hai toh, phir aur kya hai.
Kahan mai kahan ye madine ki galiyaan,
Ye kismet nahi hai toh, phir aur kya hai.
Some verses missing and some mistakes.for example k WO sahib e Kaaba qosain thehray
ReplyDeletethanks.. i found few more mistakes and corrected them as well..
DeleteSahib e qaba qusain there
ReplyDeletePlz writer name
ReplyDeleteProf. Iqbal Azeem
DeleteIqbal Azeem
ReplyDeleteMasha Allah bhut khusbsut andaz hai
ReplyDeleteAndaze bya or ashar bhot he umda hai
Good poetry enhanced with Qari Waheed Zaffar's sweet voice and deep feelings.
ReplyDeleteGood poetry enhanced with Qari Waheed Zaffar's sweet voice and deep feelings
ReplyDeleteTum Iqbal ye baat keh to rahe ho
ReplyDeleteMagar ye bhi socha ke kya kar rahe ho
Kahan tum kahan madh e mumduh e yazadaan te jurrat nahi hai to phir aur kya hai.
Mashallah very beautiful naat and voice also melodious
ReplyDeleteJo dushman ko bhi zakhm, khaakar dua de
ReplyDeleteIt is jo dushman se bhi zakhm, khaakar dua de