Friday, December 2, 2016

Khusha wo din



Khusha wo din haram e pak ki fazaaon me tha,
Zubaan khamosh thi dil, mai iltejaaon me tha.

Ghilaaf e khaana e Kaaba tha mere haathon me,
Khuda se arz o ghuzaarish, ki intahaon me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Dar e karam pe sadaa deraha tha ashkon se,
Jo multazam pakhade thay, main un gadaaon me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Tawaaf karta tha parvanawaar kaabe ka,
Jahan e arz o sama jaise mere paanv me tha.
Khusha wo din haram e pak..

Mujhe yakheen hai mai phir bulaaya jaaunga,
Ke ye sawaal bhi shamil meri duwaaon me tha.
Khusha wo din haram e pak..

4 comments: