Tuesday, July 23, 2013

karam hi karam hai karam hi karam hai

karam hi karam hai , karam hi karam hai.2
hun unka gada.2 kya yeh AEzaaz kam hai.

bana dijiye bigdi Shaah AAj meri 

ke hain aapke haath mein laaj meri
huzoor aap sey do jahan ka bharam hai 

karam hi karam hai


shab o roz ulfat ka izhaar karna 

huzoor aap sey pyaar bas pyaar karna
yehi deen mera yeh mera dharam hai

karam hi karam hai


yeh takdeer ab soye kaise rahegi

mujhe ab kami koi kaise rahegi 
mere ghar mere mustafa ka kadam hai

karam hi karam hai


khuda ki kasam har khushi aap sey hai

Yeh SHEHZAD ki zindagi aap sey hai
huzoor aapke dam se hi dam mein dam hai 

karam hi karam hai karam hi karam hai....

No comments:

Post a Comment