Monday, July 22, 2013

Tere hote janam liya hota

Tere hote janam liya hota.
phir kabhi toh tujhe mila hota.2

kaash mai sang e dar tera hota.2

tere kadmo ko choomta hota.2

tu chala karta meri palkon par.2

kaash mai tera raasta hota.2

ladta phirta mai tere aduon se.2

teri khaatir mai margaya hota.2

tere maskan ke gird shaam o seher.2

banke mangta mai phir raha hota.2

tu kabhi toh mujhe bhi takk leta.2

tere takne pe bikk gaya hota.2

tu kabhi toh meri khabar leta.2

tere kooche me ghar kiya hota.2

Tu jo aata mere janaze par.2

Tere hote mai mar gaya hota.2

Chod kar jannate palat aata.2

Tu meri kabar par khada hota.2

hota tahir tere fakeeron me.2

teri dehleez par khada hota.2

No comments:

Post a Comment