Monday, May 28, 2012

kal bhi tha aur aaj bhi hai


lab par naat e paak ka nagma. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(thrice)

mere nabi se mera rishta.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

aur kisi jaanib kyun jaayen? aur kisi ko kyun dekhen?
aur kisi jaanib kyun jaayen? aur kisi ko kyun dekhen?
apna sab kuch gumbad e qazra.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

past wo kaise ho sakta hai.. jisko haq ne buland kiyaa..(twice)
dono jahan me unka charcha.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

fikr nahi hai humko kuch bhi.. dukh ki dhoop kadi toh kya?(twice)
hum par unke fazl ka saaya.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

batlaado gustaaqe nabi ko.. ghairat e muslim zinda hai..(twice)
unpar mar mitne ka jazba.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)

mere nabi se mera rishta.. kal bhi tha aur aaj bhi hai..(twice)



1 comment: