Monday, May 28, 2012

Dar e nabi pe pada rahunga..



Dare nabi par.. pada rahunga.. pade hi rehne se kaam hoga..
kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

dare nabi par.. pada rahunga.. pade hi rehne se kaam hoga..
khilaafe maashooq.. kuch hua hai.. na koi aashiq.. se kaam hogaa..twice

khuda bhi hoga.. udhar hi ae dil.. jidhar wo aali maqaam hoga..twice

kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

kiye hi jaauunga.. arz e matlab.. milega jab tak na dil ka matlab..twice
na shame matlab ki subha hogi.. na ye fasaana tamaam hoga..

kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

jo dil se hai maayil e payambar.. ye uski pehchaan hai muqarrar..twice
k har dam us benawa k lab par.. durood hoga salaam hoga..

kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..

isi tawaaf kaa pe jiraha hun.. yehi tamanna jilaa rahi hai..twice
nigaahe luttfo karam na hogi.. toh mujhko jeena haraam hoga..twice

dare nabi par.. pada rahunga.. pade hi rehne se kaam hoga..
kabhi toh kismat khulegi meri.. kabhi toh mera salaam hoga..






No comments:

Post a Comment