Monday, May 28, 2012

Kab talak muntazir, Hum rahen ya NABI






kab talak muntazir, hum rahen ya nabi
apni jalwa e athar dikha deejiye.(repeat)

hum faqeeron ki ya ahmade mujtaba, 
pyaas qalbo nazar ki bujha deejiye

aap zeenat azal ki hai khairul wara.
aap raunaq abad ki hai salle ala.

aap khairul bashar, wajhe kauno makaan.
paar beda hamaara lagaa deejiye.

arsh waale bhi tere sana'khan hai.
aur malaaik tere dar ke darbaan hai.

tere darbaare aali ki kya shan hai, 
apne qadmon me humko bulaa leejiye.(repeat)

ranj o aalam se kardo humko bari.
khushq hai dil ke kheti, ye kardo hari.
tashnagi, bekali, teeragi ya nabi..
rah guzaaron se dil ki hataa deejiye.(repeat)

be amal hum saraapa gunahgaar hain.
ranjishon, mushkilon me giraftaar hai,
hum karam ke tumhare talabgaar hai, 
aaho giriya se humko jilaa deejiye.(repeat)

sab se ooncha hai rutbon me rutba tera.
choomte hai malaik bhi rauza tera.
chahatein dil me hai, sarme suda tera.
dar pe ishrat to apne bulaa leejiye.(repeat)

No comments:

Post a Comment