Monday, May 28, 2012

Dil thikaana mere huzoor ka hai





Dil thikaana mere huzoor ka hai, dil thikaana.
Dil thikaana mere huzoor ka hai, dil thikaana mere huzoor ka hai…
Yeh jalwakhaana mere huzoor ka hai,(repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…

Har zamaane ki aap rehmath hai..
har zamaan.. mere huzoor ka hai..

Nematein sab wahi khilaate hai, (repeat)
Daana daana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…


Aur, nematein sab wahi khilaate hai… daana…

Dil thikaana…Dil thikaana…


Ek pal mein hazaaron aalam mein, (repeat)
Aana jaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…


Aur, mujhsa aasi kahaan, madina kahaan.(repeat)
Ye bulaana mere huzoor ka hai. Same.

Dil thikaana…Dil thikaana…


Roze mehshar jo baqshwaaega. (repeat)
Wo bahaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana…Dil thikaana…


Hashr me unnke saath utthega. (repeat)
Jo diwaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Dil thikaana...Dil thikaana...


Jinpe utri hai aa’ya –e-tatheer. (repeat)
Wo gharaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Ye jalwakhaana mere huzoor ka hai.. (repeat)

Aur, zikr shaamil namaaz me Khalid. (repeat)
Panjagaana mere huzoor ka hai. (repeat)

Jalwakhaana mere huzoor ka hai.
Dil thikaana mere huzoor ka hai…

8 comments: